kabhi main zikr karun din ki shadmani ka
kabhī maiñ zikr karūñ din kī shādmānī kā
fasāna ḳhatm to ho shab kī sargirānī kā
simaT ke aa gayā qadmoñ meñ kis tarah sahrā
sunā thā shor bahut us kī be-karānī kā
ajab nahīñ ki na.e rāste nikal aa.eñ
kisī ne rāsta rokā hai bahte paanī kā
tamām ahl-e-zabāñ bātiloñ ke haq meñ haiñ
mujhe malāl nahīñ apnī be-zabānī kā
jo baat kahnī thī ab tak kahī nahīñ maiñ ne
maiñ iḳhtitām karūñ kaise is kahānī kā
ḳhudā samajhtā hai ḳhud ko yahāñ jo aatā hai
ajiib haal hai 'ālam' sarā-e-fānī kā
kabhi main zikr karun din ki shadmani ka
fasana KHatm to ho shab ki sargirani ka
simaT ke aa gaya qadmon mein kis tarah sahra
suna tha shor bahut us ki be-karani ka
ajab nahin ki nae raste nikal aaen
kisi ne rasta roka hai bahte pani ka
tamam ahl-e-zaban baatilon ke haq mein hain
mujhe malal nahin apni be-zabani ka
jo baat kahni thi ab tak kahi nahin main ne
main iKHtitam karun kaise is kahani ka
KHuda samajhta hai KHud ko yahan jo aata hai
ajib haal hai 'alam' sara-e-fani ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.