kabhi makan se bahar nikal ke dekh zara
kabhī makān se bāhar nikal ke dekh zarā
taḌap rahā hai kahāñ kaun chal ke dekh zarā
laboñ pe kaise masarrat kā jaam chhalkegā
ḳhizāñ-rasīda chaman ko badal ke dekh zarā
siyāh rang batā degā kaise chehre ko
tasavvurāt ke sho.aloñ meñ jal ke dekh zarā
ye din guzār raheñ ye kaise log yahāñ
na.e mizāj ke sāñche meñ Dhal ke dekh zarā
ye kaise kaise ajīb-o-ġharīb manzar haiñ
kabhī to dasht-e-balā meñ Tahal ke dekh zarā
kahīñ daboch na le tujh ko apnī bāñhoñ meñ
biphartī naddī ko 'ātish' sañbhal ke dekh zarā
kabhi makan se bahar nikal ke dekh zara
taDap raha hai kahan kaun chal ke dekh zara
labon pe kaise masarrat ka jam chhalkega
KHizan-rasida chaman ko badal ke dekh zara
siyah rang bata dega kaise chehre ko
tasawwuraat ke shoalon mein jal ke dekh zara
ye din guzar rahen ye kaise log yahan
nae mizaj ke sanche mein Dhal ke dekh zara
ye kaise kaise ajib-o-gharib manzar hain
kabhi to dasht-e-bala mein Tahal ke dekh zara
kahin daboch na le tujh ko apni banhon mein
bipharti naddi ko 'atish' sanbhal ke dekh zara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.