kabhi masale rahe samne kabhi kashmakash rahi ru-ba-ru
kabhī mas.ale rahe sāmne kabhī kashmakash rahī rū-ba-rū
kabhī ḳhud ko khone kā shauq thā kabhī tujh ko paane kī aarzū
mire āñsuoñ ke bahāv meñ mirā ġhusl hotā hai rāt-din
maiñ vuzū karūñ bhī to kyā karūñ mirā bāl-bāl hai bā-vazū
mire shauq mere junūn ko kisī dā.ere meñ na qaid kar
vahī shash-jihat meñ hai lā-ilāh mujhe samt-e-ka.aba na khīñch tū
inhīñ chāñd tāroñ kī oT meñ koī husn-sāz zarūr hai
jo hai kā.enāt pe mehrbāñ jo hai āsmānoñ kī aabrū
ye niyāz-o-nāz ye 'mehr' ab mire haal par ho kisī tarah
isī ġham meñ rahtā huuñ dar-ba-dar isī dhun meñ phirtā huuñ kū-ba-kū
kabhi masale rahe samne kabhi kashmakash rahi ru-ba-ru
kabhi KHud ko khone ka shauq tha kabhi tujh ko pane ki aarzu
mere aansuon ke bahaw mein mera ghusl hota hai raat-din
main wuzu karun bhi to kya karun mera baal-baal hai ba-wazu
mere shauq mere junun ko kisi daere mein na qaid kar
wahi shash-jihat mein hai la-ilah mujhe samt-e-kaba na khinch tu
inhin chand taron ki oT mein koi husn-saz zarur hai
jo hai kaenat pe mehrban jo hai aasmanon ki aabru
ye niyaz-o-naz ye 'mehr' ab mere haal par ho kisi tarah
isi gham mein rahta hun dar-ba-dar isi dhun mein phirta hun ku-ba-ku
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.