kabhi mastur rahti hai kabhi malum hoti hai
kabhī mastūr rahtī hai kabhī ma.alūm hotī hai
tajallī ik fareb-e-āgahī ma.alūm hotī hai
karishma-sāzī-e-vāraftagī ma.alūm hotī hai
nigāh-e-shauq terī aarsī ma.alūm hotī hai
nasheman par ye aafat bhī na.ī ma.alūm hotī hai
fazā meñ ik taḌaptī raushnī ma.alūm hotī hai
jo īsār-o-mohabbat kī kamī ma.alūm hotī hai
ye duniyā daulat-e-dil se tahī ma.alūm hotī hai
tire qurbāñ pasīna poñchh māthe se nadāmat kā
ki ThanDī dhuup phīkī chāñdnī ma.alūm hotī hai
yaqīnan ābla-pā koī guzrā hai bayābāñ se
zamīñ jaltī hai kāñToñ meñ namī ma.alūm hotī hai
ḳhudā jaane likhā ahl-e-vafā ne kaisā afsāna
zamāna ho gayā baat aaj kī ma.alūm hotī hai
yahāñ kis se mudāvā chāhūñ apne dard kā 'nātiq'
mujhe to saarī duniyā ajnabī ma.alūm hotī hai
kabhi mastur rahti hai kabhi malum hoti hai
tajalli ek fareb-e-agahi malum hoti hai
karishma-sazi-e-waraftagi malum hoti hai
nigah-e-shauq teri aarsi malum hoti hai
nasheman par ye aafat bhi nai malum hoti hai
faza mein ek taDapti raushni malum hoti hai
jo isar-o-mohabbat ki kami malum hoti hai
ye duniya daulat-e-dil se tahi malum hoti hai
tere qurban pasina ponchh mathe se nadamat ka
ki ThanDi dhup phiki chandni malum hoti hai
yaqinan aabla-pa koi guzra hai bayaban se
zamin jalti hai kanTon mein nami malum hoti hai
KHuda jaane likha ahl-e-wafa ne kaisa afsana
zamana ho gaya baat aaj ki malum hoti hai
yahan kis se mudawa chahun apne dard ka 'natiq'
mujhe to sari duniya ajnabi malum hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.