kabhi muqaddar jo ye inayat kare to kya ho
kabhī muqaddar jo ye ināyat kare to kyā ho
bichhaḌ ke mujh se vo merī chāhat kare to kyā ho
vo jis kī sohbat mujhe suhūlat se mil ga.ī hai
vo shaḳhs mujh se agar mohabbat kare to kyā ho
tamām shikvoñ ko mere hañs kar miTā rahā hai
kabhī vo mujh se koī shikāyat kare to kyā ho
jo hañs ke raazī rahe ḳhudā kī har ik razā meñ
phir aisā banda kabhī baġhāvat kare to kyā ho
ḳhudā ke haamī jo mujh se bigḌe haiñ soch rakkheñ
vo roz-e-mahshar mirī himāyat kare to kyā ho
kabhi muqaddar jo ye inayat kare to kya ho
bichhaD ke mujh se wo meri chahat kare to kya ho
wo jis ki sohbat mujhe suhulat se mil gai hai
wo shaKHs mujh se agar mohabbat kare to kya ho
tamam shikwon ko mere hans kar miTa raha hai
kabhi wo mujh se koi shikayat kare to kya ho
jo hans ke raazi rahe KHuda ki har ek raza mein
phir aisa banda kabhi baghawat kare to kya ho
KHuda ke hami jo mujh se bigDe hain soch rakkhen
wo roz-e-mahshar meri himayat kare to kya ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.