kabhi mushkil mein jo paD jae zarurat mohsin
kabhī mushkil meñ jo paḌ jaa.e zarūrat mohsin
mujhe mil pā.egī kyā terī himāyat mohsin
saath detā he shab-e-ġham meñ kahāñ saaya bhī
kyā nibhā.egī vafā terī mohabbat mohsin
va.ada kar lenā hai āsān nibhānā mushkil
saḳht hotī hai bahut rāh-e-muravvat mohsin
rāsta saaf ho saaya ho havā ThanDī ho
ham safar aise meñ karte haiñ ināyat mohsin
zer-e-pā aag ho kāñTe hoñ na saaya na havā
aise aalam meñ to mushkil hai rifāqat mohsin
vaqt ke saath khulā kartā hai yādoñ kā bharam
kahāñ ḳhush-fahm hai 'asrā' kī tabī.at mohsin
kabhi mushkil mein jo paD jae zarurat mohsin
mujhe mil paegi kya teri himayat mohsin
sath deta he shab-e-gham mein kahan saya bhi
kya nibhaegi wafa teri mohabbat mohsin
wada kar lena hai aasan nibhana mushkil
saKHt hoti hai bahut rah-e-murawwat mohsin
rasta saf ho saya ho hawa ThanDi ho
hum safar aise mein karte hain inayat mohsin
zer-e-pa aag ho kanTe hon na saya na hawa
aise aalam mein to mushkil hai rifaqat mohsin
waqt ke sath khula karta hai yaadon ka bharam
kahan KHush-fahm hai 'asra' ki tabiat mohsin
- Book : Word File Mail By Kumail Haider
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.