Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kabhi na aasuda-e-amal ho magar irada bhi kam nahin hai

Khalid Iqbal Yasir

kabhi na aasuda-e-amal ho magar irada bhi kam nahin hai

Khalid Iqbal Yasir

MORE BYKhalid Iqbal Yasir

    kabhī na āsūda-e-amal ho magar irāda bhī kam nahīñ hai

    aur is irāde ūñchī āvāz meñ i.aada bhī kam nahīñ hai

    shahanshah-e-vaqt aur darbārī apne suud o ziyāñ se vāqif

    sarīr-ārā-e-saltanat koī ḳhānvāda bhī kam nahīñ hai

    asā-e-farmāñ-ravā.ī jaadū jagā.e jis taur bhī ravā hai

    rumūz-e-asrār-e-hukmarānī meñ shāhzāda bhī kam nahīñ hai

    koī rakhe be-jahat safar meñ masāfatoñ hisāb kaise

    ki tausan-e-be-zamām ko be-nishān jaada bhī kam nahīñ hai

    yahī bahut hai kisī tarah se bharam rah jaa.e pesh duniyā

    agar mayassar nahīñ hai baada ḳhayāl-e-bāda bhī kam nahīñ hai

    mujh aise uftād-gāñ Dhāras na jaane kaise bañdhī huī hai

    pahāḌ umr kāTne ko ye zehn-e-sāda bhī kam nahīñ hai

    kisī khoTā nasīb 'yāsir' kise ḳhabar kis ghaḌī kharā ho

    julūs-e-shāhī ke saath ik be-zabāñ piyāda bhī kam nahīñ hai

    kabhi na aasuda-e-amal ho magar irada bhi kam nahin hai

    aur is irade ka unchi aawaz mein iada bhi kam nahin hai

    shahanshah-e-waqt aur darbari apne sud o ziyan se waqif

    sarir-ara-e-saltanat koi KHanwada bhi kam nahin hai

    asa-e-farman-rawai jadu jagae jis taur bhi rawa hai

    rumuz-e-asrar-e-hukmarani mein shahzada bhi kam nahin hai

    koi rakhe be-jahat safar mein masafaton ka hisab kaise

    ki tausan-e-be-zamam ko be-nishan jada bhi kam nahin hai

    yahi bahut hai kisi tarah se bharam hi rah jae pesh duniya

    agar mayassar nahin hai baada KHayal-e-baada bhi kam nahin hai

    mujh aise uftad-gan ki Dhaaras na jaane kaise bandhi hui hai

    pahaD si umr kaTne ko ye zehn-e-sada bhi kam nahin hai

    kisi ka khoTa nasib 'yasir' kise KHabar kis ghaDi khara ho

    julus-e-shahi ke sath ek be-zaban piyaada bhi kam nahin hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now