kabhi na lahr ban saka bahaw mein guzar gaya
kabhī na lahr ban sakā bahāv meñ guzar gayā
sukūñ kī aarzū liye tanāv meñ guzar gayā
guzar ga.ī tamām umr jis kī aarzū liye
vo lamha-e-visāl rakh-rakhāv meñ guzar gayā
kabhī koī hasīñ lagā kabhī koī hasīn-tar
mirā shabāb husn ke chunāv meñ guzar gayā
sitam ki bahr-e-ishq meñ kabhī na maiñ utar sakā
mirā safar to hasratoñ kī naav meñ guzar gayā
mufāhamat kā dars jo shikam kī aag se milā
so āfatoñ kā daur sab jhukāv meñ guzar gayā
tamām umr jis sabab ghamanD tujh ko thā bahut
vo māl-o-zar tire hī bach-bachāv meñ guzar gayā
maiñ ajnabī ke haath tere sāmne hī bik gayā
tirā tamām vaqt bhāv-tāv meñ guzar gayā
na ham-safar milā mujhe na koī rāsta milā
paḌāv meñ janam huā paḌāv meñ guzar gayā
kabhi na lahr ban saka bahaw mein guzar gaya
sukun ki aarzu liye tanaw mein guzar gaya
guzar gai tamam umr jis ki aarzu liye
wo lamha-e-visal rakh-rakhaw mein guzar gaya
kabhi koi hasin laga kabhi koi hasin-tar
mera shabab husn ke chunaw mein guzar gaya
sitam ki bahr-e-ishq mein kabhi na main utar saka
mera safar to hasraton ki naw mein guzar gaya
mufahamat ka dars jo shikam ki aag se mila
so aafaton ka daur sab jhukaw mein guzar gaya
tamam umr jis sabab ghamanD tujh ko tha bahut
wo mal-o-zar tere hi bach-bachaw mein guzar gaya
main ajnabi ke hath tere samne hi bik gaya
tera tamam waqt bhaw-taw mein guzar gaya
na ham-safar mila mujhe na koi rasta mila
paDaw mein janam hua paDaw mein guzar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.