kabhi nazuk kabhi behad kaDa hai
Interesting Fact
Zehn-e-Jadeed (Vol. 29)
kabhī nāzuk kabhī behad kaḌā hai
vo 'tuġhlaq' sāmne ban kar khaḌā hai
ḳharāsheñ paḌ ga.ī haiñ āsmāñ par
zamīñ se aaj shāyad vo laḌā hai
vo ab be-kār shai hai apne ghar kī
kabhī andar kabhī bāhar paḌā hai
zamāna saath thā bādal meñ us ke
chamaktī dhuup meñ tanhā khaḌā hai
ḳhizāñ kā rañg hai kaisā suhānā
na patta peḌ se koī jhaḌā hai
bahut ilzām kī bārish huī thī
na Thahrī buuñd vo chiknā ghaḌā hai
muqaddar ḳhvāb saa.e kā hai chamkā
mire qad se bhī 'ja.afar' vo baḌā hai
kabhi nazuk kabhi behad kaDa hai
wo 'tughlaq' samne ban kar khaDa hai
KHarashen paD gai hain aasman par
zamin se aaj shayad wo laDa hai
wo ab be-kar shai hai apne ghar ki
kabhi andar kabhi bahar paDa hai
zamana sath tha baadal mein us ke
chamakti dhup mein tanha khaDa hai
KHizan ka rang hai kaisa suhana
na patta peD se koi jhaDa hai
bahut ilzam ki barish hui thi
na Thahri bund wo chikna ghaDa hai
muqaddar KHwab sae ka hai chamka
mere qad se bhi 'jafar' wo baDa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.