kabhi nafrat ke lahje se mohabbat kanp jati hai
kabhi nafrat ke lahje se mohabbat kanp jati hai
Khwaja Saeeduddin Nawab
MORE BYKhwaja Saeeduddin Nawab
kabhī nafrat ke lahje se mohabbat kaañp jaatī hai
muḳhālif koī apnā ho to himmat kaañp jaatī hai
sunā hai qātiloñ ke ḳhauf se munsif larazte haiñ
sazā un ko sunāne ko adālat kaañp jaatī hai
bahādur bāġhiyoñ ke hausloñ se kuchh nahīñ hotā
agar sardār buzdil ho baġhāvat kaañp jaatī hai
hamāre hausloñ ko tū nazar-andāz mat karnā
ye vo baazū hai jis se bādshāhat kaañp jaatī hai
havas kā zor hotā hai amīroñ ke makānoñ meñ
ġharīb-e-vaqt kī har ik zarūrat kaañp jaatī hai
'navāb'-e-vaqt huuñ lekin mirī ḳhasta havelī hai
kabhī dīvār hiltī hai kabhī chhat kaañp jaatī hai
kabhi nafrat ke lahje se mohabbat kanp jati hai
muKHalif koi apna ho to himmat kanp jati hai
suna hai qatilon ke KHauf se munsif larazte hain
saza un ko sunane ko adalat kanp jati hai
bahadur baghiyon ke hauslon se kuchh nahin hota
agar sardar buzdil ho baghawat kanp jati hai
hamare hauslon ko tu nazar-andaz mat karna
ye wo bazu hai jis se baadshahat kanp jati hai
hawas ka zor hota hai amiron ke makanon mein
gharib-e-waqt ki har ek zarurat kanp jati hai
'nawab'-e-waqt hun lekin meri KHasta haweli hai
kabhi diwar hilti hai kabhi chhat kanp jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.