kabhi najat mile ranj-o-dard se mujhko
kabhī najāt mile ranj-o-dard se mujh ko
kisī ḳhushī kī tamannā hī baḳhsh de mujh ko
mirī rasā.ī se pahle hī bujh na jaa.e kahīñ
vo raushnī jo bulātī hai duur se mujh ko
tamām shahr-e-vafā dasht-e-be-niyāzī hai
kahāñ ḳhulūs kā saaya dikhā.ī de mujh ko
usī ke qurb ko tanhā.iyāñ tarastī haiñ
har aa.ine meñ yahāñ jo dikhā.ī de mujh ko
mujhe is ā.ina-ḳhāne meñ kaun pahchāne
ki apnā 'aks bhī ab ajnabī lage mujh ko
dayār-e-naġhma ko āḳhir ye kyā huā 'rāhī'
bas ik sadā-e-ḳhamoshī sunā.ī de mujh ko
kabhi najat mile ranj-o-dard se mujh ko
kisi KHushi ki tamanna hi baKHsh de mujh ko
meri rasai se pahle hi bujh na jae kahin
wo raushni jo bulati hai dur se mujh ko
tamam shahr-e-wafa dasht-e-be-niyazi hai
kahan KHulus ka saya dikhai de mujh ko
usi ke qurb ko tanhaiyan tarasti hain
har aaine mein yahan jo dikhai de mujh ko
mujhe is aaina-KHane mein kaun pahchane
ki apna 'aks bhi ab ajnabi lage mujh ko
dayar-e-naghma ko aaKHir ye kya hua 'rahi'
bas ek sada-e-KHamoshi sunai de mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.