kabhi nashat kabhi dard-e-be-karan guzre
kabhī nashāt kabhī dard-e-be-karāñ guzre
bas ek mujh pe hī lamhāt-e-imtihāñ guzre
pahuñch sake na vahāñ fikr-o-āgagī vaale
tirī nigāh ke maare jahāñ jahāñ guzre
mirī vafā kā fasāna tire fasāne meñ
ajab nahīñ ki yahī zeb-e-dāstāñ guzre
kahīñ jhukī na jabīñ tere sañg-e-dar ke sivā
rah-e-niyāz se kitne hī āstāñ guzre
jo terī yaad kī lazzat se rah ga.e mahrūm
hayāt ke vahī lamhāt rā.egāñ guzre
koī to jām-ba-kaf ho koī tamāshā.ī
nasīb phūTe jo aisoñ ke darmiyāñ guzre
nigāh-e-lutf ne ḳhud baḌh ke mudda.ā pūchhā
tirī galī se kuchh aise bhī be-zabāñ guzre
ḳhabar bhī hai 'qamar'-e-sust-e-gām-o-vāmāñda
sahar se pahle sitāroñ ke kārvāñ guzre
kabhi nashat kabhi dard-e-be-karan guzre
bas ek mujh pe hi lamhat-e-imtihan guzre
pahunch sake na wahan fikr-o-agagi wale
teri nigah ke mare jahan jahan guzre
meri wafa ka fasana tere fasane mein
ajab nahin ki yahi zeb-e-dastan guzre
kahin jhuki na jabin tere sang-e-dar ke siwa
rah-e-niyaz se kitne hi aastan guzre
jo teri yaad ki lazzat se rah gae mahrum
hayat ke wahi lamhat raegan guzre
koi to jam-ba-kaf ho koi tamashai
nasib phuTe jo aison ke darmiyan guzre
nigah-e-lutf ne KHud baDh ke muddaa puchha
teri gali se kuchh aise bhi be-zaban guzre
KHabar bhi hai 'qamar'-e-sust-e-gam-o-wamanda
sahar se pahle sitaron ke karwan guzre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.