kabhi nasheb mein tha aur kabhi faraaz mein tha
kabhī nasheb meñ thā aur kabhī farāz meñ thā
ye ābshār-e-mohabbat diloñ ke raaz meñ thā
mire ḳhilāf hī sāzish vo kar rahe the magar
ajiib baat hai shāmil maiñ sāz-bāz meñ thā
tumheñ ḳhabar hī nahīñ us ke habshiyo ki kabhī
mirī sadā kā fusūñ bhī har ek jaaz meñ thā
tamām umr maiñ be-ghar rahā ḳhabar na huī
ki merā ghar usī chashm-e-fusūñ-tarāz meñ thā
maiñ ab na qaid lakīroñ meñ huuñ na rangoñ meñ
hazār pahle muqayyad maiñ dām-e-āz meñ thā
zamīñ pe gir ke yakāyak jo paash paash huā
tumheñ ḳhabar hī nahīñ maiñ usī jahāz meñ thā
kabhi nasheb mein tha aur kabhi faraaz mein tha
ye aabshaar-e-mohabbat dilon ke raaz mein tha
mere KHilaf hi sazish wo kar rahe the magar
ajib baat hai shamil main saz-baz mein tha
tumhein KHabar hi nahin us ke habshiyo ki kabhi
meri sada ka fusun bhi har ek jaz mein tha
tamam umr main be-ghar raha KHabar na hui
ki mera ghar usi chashm-e-fusun-taraaz mein tha
main ab na qaid lakiron mein hun na rangon mein
hazar pahle muqayyad main dam-e-az mein tha
zamin pe gir ke yakayak jo pash pash hua
tumhein KHabar hi nahin main usi jahaz mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.