kabhi nazr-e-mashq-e-suKHan kiya kabhi aansuon mein baha diya
kabhi nazr-e-mashq-e-suKHan kiya kabhi aansuon mein baha diya
Muhammad Rashid Athar
MORE BYMuhammad Rashid Athar
kabhī nazr-e-mashq-e-suḳhan kiyā kabhī āñsuoñ meñ bahā diyā
ki hamāre sar ġham-e-āgahī kā jo qarz thā so chukā diyā
maiñ huuñ mah-e-vaqt kā ham-nasab maiñ tulū-e-sahar kā huuñ sabab
maiñ charāġh-e-āḳhir-e-shab nahīñ ki na ḳhud bujhā to bujhā diyā
maiñ haqīqatoñ kā asiir huuñ hai tilism-e-ḳhvāb-o-ḳhayāl tū
tirī raushnī hai dhuāñ dhuāñ mirī tīrgī bhī diyā diyā
maiñ hī rabt-e-vahm-o-gumān huuñ tirī manziloñ kā nishān huuñ
koī sañg-e-rāh to huuñ nahīñ jise Thokaroñ se haTā diyā
mirī dāstāñ meñ ḳhushī-o-rañj ke moḌ bhī to ajiib the
kabhī qahqahoñ meñ bhī ashk the kabhī fart-e-ġham ne hañsā diyā
kabhi nazr-e-mashq-e-suKHan kiya kabhi aansuon mein baha diya
ki hamare sar gham-e-agahi ka jo qarz tha so chuka diya
main hun mah-e-waqt ka ham-nasab main tulu-e-sahar ka hun sabab
main charagh-e-aKHir-e-shab nahin ki na KHud bujha to bujha diya
main haqiqaton ka asir hun hai tilism-e-KHwab-o-KHayal tu
teri raushni hai dhuan dhuan meri tirgi bhi diya diya
main hi rabt-e-wahm-o-guman hun teri manzilon ka nishan hun
koi sang-e-rah to hun nahin jise Thokaron se haTa diya
meri dastan mein KHushi-o-ranj ke moD bhi to ajib the
kabhi qahqahon mein bhi ashk the kabhi fart-e-gham ne hansa diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.