kabhi nikla na koi yar se arman mera
kabhī niklā na koī yaar se armāñ merā
ek muddat se hai vo garche meherbāñ merā
kabhī chhātī se lagāyā na to inkār kiyā
saḳht mushkil meñ paḌā dil hai mirī jaañ mirā
na nikālā kabhī armāñ mirā tum ne na sahī
shukr kartā huuñ ki hai sabr nigahbāñ merā
maiñ ne jaanā thā mujhī ko hai mohabbat un kī
bil-yaqīñ mujh se fuzūñ-tar hai vo ḳhvāhāñ merā
jo chaho zulm karo par na raqīboñ se milo
ye ġhazab vo hai ki hai jaan kā ḳhvāhāñ merā
dil meñ ġhairoñ ko agar tum ne na dī apne jagah
donoñ aalam meñ samajh lo ki hai 'mardāñ' merā
kabhi nikla na koi yar se arman mera
ek muddat se hai wo garche meherban mera
kabhi chhati se lagaya na to inkar kiya
saKHt mushkil mein paDa dil hai meri jaan mera
na nikala kabhi arman mera tum ne na sahi
shukr karta hun ki hai sabr nigahban mera
main ne jaana tha mujhi ko hai mohabbat un ki
bil-yaqin mujh se fuzun-tar hai wo KHwahan mera
jo chaho zulm karo par na raqibon se milo
ye ghazab wo hai ki hai jaan ka KHwahan mera
dil mein ghairon ko agar tum ne na di apne jagah
donon aalam mein samajh lo ki hai 'mardan' mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.