kabhi ojhal kabhi pesh-e-nazar hai
kabhī ojhal kabhī pesh-e-nazar hai
mohabbat meñ sharārat kā asar hai
lachak jā.egī shāḳh-e-gul kahāñ par
nazākat se vo apnī be-ḳhabar hai
adā.eñ dil pe dastak de rahī haiñ
mohabbat guftugū se bālā-tar hai
unheñ haq hai vo mujh se ruuTh jaa.eñ
magar dil meñ raheñ ye un kā ghar hai
ḳhayāloñ meñ rahā kartā hai har dam
bichhaḌ kar bhī vo merā ham-safar hai
agar mumkin ho ḳhushbūoñ se bhar do
kahānī zindagī kī muḳhtasar hai
jhukā.egī use kyā ḳhaak duniyā
ḳhudā ke sāmne jhuktā jo sar hai
milegī manzil-e-'maqsūd' ik din
abhī shādāb ḳhvāhish kā shajar hai
kabhi ojhal kabhi pesh-e-nazar hai
mohabbat mein shararat ka asar hai
lachak jaegi shaKH-e-gul kahan par
nazakat se wo apni be-KHabar hai
adaen dil pe dastak de rahi hain
mohabbat guftugu se baala-tar hai
unhen haq hai wo mujh se ruTh jaen
magar dil mein rahen ye un ka ghar hai
KHayalon mein raha karta hai har dam
bichhaD kar bhi wo mera ham-safar hai
agar mumkin ho KHushbuon se bhar do
kahani zindagi ki muKHtasar hai
jhukaegi use kya KHak duniya
KHuda ke samne jhukta jo sar hai
milegi manzil-e-'maqsud' ek din
abhi shadab KHwahish ka shajar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.