kabhi paDho to mujhe harf-e-motabar ki tarah
kabhī paḌho to mujhe harf-e-mo'tabar kī tarah
ye kyā ki paḌhte ho farsūda sī ḳhabar kī tarah
qalam to karte ho sar ko mire magar sun lo
maiñ reg-zār-e-vafā meñ huuñ ek shajar kī tarah
udāsī khol ke baal apnā so rahī hai yahāñ
ki jaise shahr meñ har ghar hai mere ghar kī tarah
hamāre zauq-e-parastish ko tum duā.eñ do
chamak rahe haiñ ye patthar jo ab guhar kī tarah
mashām-e-jāñ meñ abhī tak hai us badan kī baas
khilā thā raat jo ik ġhuncha-e-sahar kī tarah
har ek sañg pata pūchhtā hai ghar kā mire
nahīñ hai kyā koī sar aur mere sar kī tarah
navāh-e-jāñ meñ ujāloñ kā raqs hai 'shiblī'
ye kaun aayā dabe paañv yuuñ sahar kī tarah
kabhi paDho to mujhe harf-e-mo'tabar ki tarah
ye kya ki paDhte ho farsuda si KHabar ki tarah
qalam to karte ho sar ko mere magar sun lo
main reg-zar-e-wafa mein hun ek shajar ki tarah
udasi khol ke baal apna so rahi hai yahan
ki jaise shahr mein har ghar hai mere ghar ki tarah
hamare zauq-e-parastish ko tum duaen do
chamak rahe hain ye patthar jo ab guhar ki tarah
masham-e-jaan mein abhi tak hai us badan ki bas
khila tha raat jo ek ghuncha-e-sahar ki tarah
har ek sang pata puchhta hai ghar ka mere
nahin hai kya koi sar aur mere sar ki tarah
nawah-e-jaan mein ujalon ka raqs hai 'shibli'
ye kaun aaya dabe panw yun sahar ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.