kabhi paigham-e-sukun teri nazar ne na diya
kabhī paiġhām-e-sukūñ terī nazar ne na diyā
zindagī chhīn lī is tarah ki marne na diyā
thī bahār-e-gul-e-jalva ki havā kā jhoñkā
jis ne dāman nigah-e-shauq kā bharne na diyā
dī jis ehsās ne marne kī tamannā ham ko
usī ehsās kī ra.anā.ī ne marne na diyā
jaane kyā qissa-e-ġham thā ki nazar ne terī
bhūlne bhī na diyā yaad bhī karne na diyā
umr bhar ek tamannā-e-sukūñ ne ham ko
dil kī betābī kā andāza bhī karne na diyā
kabhi paigham-e-sukun teri nazar ne na diya
zindagi chhin li is tarah ki marne na diya
thi bahaar-e-gul-e-jalwa ki hawa ka jhonka
jis ne daman nigah-e-shauq ka bharne na diya
di jis ehsas ne marne ki tamanna hum ko
usi ehsas ki ranai ne marne na diya
jaane kya qissa-e-gham tha ki nazar ne teri
bhulne bhi na diya yaad bhi karne na diya
umr bhar ek tamanna-e-sukun ne hum ko
dil ki betabi ka andaza bhi karne na diya
- Book : Abyaat (Pg. 38)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.