kabhi parda-dar hun main raaz ka kabhi hun main parda-e-raaz mein
kabhi parda-dar hun main raaz ka kabhi hun main parda-e-raaz mein
Taufeeq Hyderabadi
MORE BYTaufeeq Hyderabadi
kabhī parda-dar huuñ maiñ raaz kā kabhī huuñ maiñ parda-e-rāz meñ
ki haqīqat ik mirī mushtarak hai haqīqat aur majāz meñ
ye kahāñ ke jalve samā ga.e ye kahāñ kī hairateñ chhā ga.iiñ
ki hazāroñ aa.ine lag ga.e haiñ nigāh-e-ā.ina-sāz meñ
kabhī tū bhī tālib-e-rahm ho kabhī tū bhī ġhair pe jaan de
kabhī jalva-gar ho ḳhudā kare tirā naaz mere niyāz meñ
kabhī ye bhī dekhte dekhte mirī aañkh se na Tapak paḌe
ki gudāz ālam-e-ḳhūn-e-dil hai mire jigar ke gudāz meñ
na karūñ salām jo ka.aba ko na karūñ jo sajda to kyā karūñ
hai ḳhayāl-e-but mire sāmne maiñ khaḌā huā huuñ namāz meñ
tirī barq-e-jalva jalā chukī thī uThā ke parda-e-ruḳh magar
mirī be-ḳhudī ne chhupā liyā mujhe apne parda-e-rāz meñ
mirī shohrateñ mujhe khīñch lā.īñ fareb de ke vagarna maiñ
vo tilism-e-ālam-e-rāz huuñ ki rahā huuñ muddatoñ raaz meñ
kisī tarah ho to ga.ī sahar magar ab ye Dar hai lagā huā
mirī shām-e-ġham na sharīk ho kahīñ un kī zulf-e-darāz meñ
vo tilism-e-gumshudagī huuñ maiñ ki baqā hai apnī fanā mujhe
mirī ḳhāmushī hai navā-garī maiñ nihāñ huuñ parda-e-sāz meñ
kabhi parda-dar hun main raaz ka kabhi hun main parda-e-raaz mein
ki haqiqat ek meri mushtarak hai haqiqat aur majaz mein
ye kahan ke jalwe sama gae ye kahan ki hairaten chha gain
ki hazaron aaine lag gae hain nigah-e-aina-saz mein
kabhi tu bhi talib-e-rahm ho kabhi tu bhi ghair pe jaan de
kabhi jalwa-gar ho KHuda kare tera naz mere niyaz mein
kabhi ye bhi dekhte dekhte meri aankh se na Tapak paDe
ki gudaz aalam-e-KHun-e-dil hai mere jigar ke gudaz mein
na karun salam jo kaba ko na karun jo sajda to kya karun
hai KHayal-e-but mere samne main khaDa hua hun namaz mein
teri barq-e-jalwa jala chuki thi uTha ke parda-e-ruKH magar
meri be-KHudi ne chhupa liya mujhe apne parda-e-raaz mein
meri shohraten mujhe khinch lain fareb de ke wagarna main
wo tilism-e-alam-e-raaz hun ki raha hun muddaton raaz mein
kisi tarah ho to gai sahar magar ab ye Dar hai laga hua
meri sham-e-gham na sharik ho kahin un ki zulf-e-daraaz mein
wo tilism-e-gumshudagi hun main ki baqa hai apni fana mujhe
meri KHamushi hai nawa-gari main nihan hun parda-e-saz mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.