kabhi phulon se bahlaya gaya hun
kabhī phūloñ se bahlāyā gayā huuñ
kabhī kāñToñ meñ uljhāyā gayā huuñ
tamanna hai unhīñ par jaan de duuñ
ki jin ke dar se uThvāyā gayā huuñ
mirī qismat meñ bachnā thā bachā maiñ
go har manzil pe bahkāyā gayā huuñ
maiñ ik āzād rūh-e-lā-makāñ thā
yahāñ kis vāste laayā gayā huuñ
mujhī par kyoñ hai ye ilzām-e-hastī
na maiñ samjhā na samjhāyā gayā huuñ
maiñ rotā thā ba-tarz-e-tifl-e-nādāñ
baḌī mushkil se bahlāyā gayā huuñ
yahī shāyad mohabbat kī sazā hai
pakaḌ kirdār par laayā gayā huuñ
ibādat kā maza lene kī ḳhātir
bahut murshid ke ghar aayā gayā huuñ
'azīz' un kī ināyat kī badaulat
kahāñ se maiñ kahāñ laayā gayā huuñ
kabhi phulon se bahlaya gaya hun
kabhi kanTon mein uljhaya gaya hun
tamanna hai unhin par jaan de dun
ki jin ke dar se uThwaya gaya hun
meri qismat mein bachna tha bacha main
go har manzil pe bahkaya gaya hun
main ek aazad ruh-e-la-makan tha
yahan kis waste laya gaya hun
mujhi par kyon hai ye ilzam-e-hasti
na main samjha na samjhaya gaya hun
main rota tha ba-tarz-e-tifl-e-nadan
baDi mushkil se bahlaya gaya hun
yahi shayad mohabbat ki saza hai
pakaD kirdar par laya gaya hun
ibaadat ka maza lene ki KHatir
bahut murshid ke ghar aaya gaya hun
'aziz' un ki inayat ki badaulat
kahan se main kahan laya gaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.