kabhi qatil kabhi masiha hai
kabhī qātil kabhī masīhā hai
kuchh na pūchho ki vo nazar kyā hai
us kī ta.abīr kaun de mujh ko
un ke aane kā ḳhvāb dekhā hai
jis nazar se bhī aap dekheñge
mere dukh kā vahī mudāvā hai
ashk palkoñ pe muskurāne lage
aaj kis ne mizāj pūchhā hai
uf ye māhaul daur-e-hāzir kā
jis ko dekho vo sahmā sahmā hai
aadmī aadmī ko pahchāne
ādamiyyat kā ye taqāzā hai
jab se paayā hai un ko mahv-e-karam
dard-e-dil aur baḌhtā jaatā hai
jo samundar se bhī na ho sairāb
zindagī pyaas kā vo sahrā hai
ab yahī rasm-e-gulisitāñ hai 'bahār'
phuul māñgo to zaḳhm miltā hai
kabhi qatil kabhi masiha hai
kuchh na puchho ki wo nazar kya hai
us ki tabir kaun de mujh ko
un ke aane ka KHwab dekha hai
jis nazar se bhi aap dekhenge
mere dukh ka wahi mudawa hai
ashk palkon pe muskurane lage
aaj kis ne mizaj puchha hai
uf ye mahaul daur-e-hazir ka
jis ko dekho wo sahma sahma hai
aadmi aadmi ko pahchane
aadamiyyat ka ye taqaza hai
jab se paya hai un ko mahw-e-karam
dard-e-dil aur baDhta jata hai
jo samundar se bhi na ho sairab
zindagi pyas ka wo sahra hai
ab yahi rasm-e-gulisitan hai 'bahaar'
phul mango to zaKHm milta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.