kabhi ruka main yahan to kabhi wahan Thahra
kabhī rukā maiñ yahāñ to kabhī vahāñ Thahrā
ḳhushī ke vāste āḳhir kahāñ kahāñ Thahrā
vo bhiik maañg rahā thā ḳhulūs kī lekin
sadā.eñ sun ke kisī kī koī kahāñ Thahrā
jale bahan yā koī aur kaun pūchhegā
mirā samāj to vaise bhī be-zabāñ Thahrā
dayār-e-ġhair meñ jā kar to kuchh sañvar jaatā
milegā pyaar yahī soch kar yahāñ Thahrā
kise ḳhabar ki vo merī tarah safar meñ hai
sukūt-e-shab meñ parinda kahāñ kahāñ Thahrā
nazar-navāz nazāra thā duur se lekin
'vaqār' paas se dekhā to vo dhuāñ Thahrā
kabhi ruka main yahan to kabhi wahan Thahra
KHushi ke waste aaKHir kahan kahan Thahra
wo bhik mang raha tha KHulus ki lekin
sadaen sun ke kisi ki koi kahan Thahra
jale bahan ya koi aur kaun puchhega
mera samaj to waise bhi be-zaban Thahra
dayar-e-ghair mein ja kar to kuchh sanwar jata
milega pyar yahi soch kar yahan Thahra
kise KHabar ki wo meri tarah safar mein hai
sukut-e-shab mein parinda kahan kahan Thahra
nazar-nawaz nazara tha dur se lekin
'waqar' pas se dekha to wo dhuan Thahra
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.