kabhi sal-ha ek pal ki misal
kabhī sāl-hā ek pal kī misāl
kabhī ik ghaḌī mehvar-e-māh-o-sāl
tasavvur kā tasvīr se ittisāl
banīñ hijr kī sā.ateñ bhī visāl
kabhī phail kar thā jahāñ par muhīt
kabhī un ke chehre kā til thā ḳhayāl
kise mere va.ade kā thā e.atibār
shab-e-hijr se husn kā thā savāl
agarche jhukā lo nigāh-e-niyāz
raqīboñ kī nazroñ se bachnā muhāl
mohabbat ke dekhe nasheb-o-farāz
kabhī chāñd puurā kabhī thā hilāl
muqaddar hai goyā ḳhudā kā kalām
milā har kisī ko kiye kā ma.aal
buḌhāpe kī sarhad pe dil be-qarār
qazā fajr kī aur ba-vaqt-e-zavāl
falak par hai āvāra māh-e-tamām
siyah shab meñ DhūñDe kisī kā jamāl
junūn-e-mohabbat pe kab iḳhtiyār
kahāñ aql kī dil ke aage majāl
hamārā 'hidāyat' alag hai mizāj
ḳhushī kī ghaḌī meñ bhī dil ko malāl
kabhi sal-ha ek pal ki misal
kabhi ek ghaDi mehwar-e-mah-o-sal
tasawwur ka taswir se ittisal
banin hijr ki saaten bhi visal
kabhi phail kar tha jahan par muhit
kabhi un ke chehre ka til tha KHayal
kise mere wade ka tha eatibar
shab-e-hijr se husn ka tha sawal
agarche jhuka lo nigah-e-niyaz
raqibon ki nazron se bachna muhaal
mohabbat ke dekhe nasheb-o-faraaz
kabhi chand pura kabhi tha hilal
muqaddar hai goya KHuda ka kalam
mila har kisi ko kiye ka maal
buDhape ki sarhad pe dil be-qarar
qaza fajr ki aur ba-waqt-e-zawal
falak par hai aawara mah-e-tamam
siyah shab mein DhunDe kisi ka jamal
junun-e-mohabbat pe kab iKHtiyar
kahan aql ki dil ke aage majal
hamara 'hidayat' alag hai mizaj
KHushi ki ghaDi mein bhi dil ko malal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.