kabhi sawan ki jhaDi ho kabhi bhadon barse
kabhi sawan ki jhaDi ho kabhi bhadon barse
Agha Shayar Qazalbash
MORE BYAgha Shayar Qazalbash
kabhī sāvan kī jhaḌī ho kabhī bhādoñ barse
aisā barse mire allāh ki chhājoñ barse
māshā-allāh ye laḌiyāñ tirī ai abr-e-bahār
jī meñ aatā hai isī tarh mahīnoñ barse
tīr-e-bārāñ hai ye be-vaqt kā meñh tauba hai
yuuñ na barse kabhī jab vo mire ghar hoñ barse
bas ḳhudā ke liye bas ab na kahūñgā kuchh bhī
ghanToñ bochhāḌ huī aap to pahroñ barse
jab javānī kī tarangeñ hī nahīñ haiñ 'shā’ir'
dhuup nikle kahīñ kyoñ abr kahīñ kyoñ barse
kabhi sawan ki jhaDi ho kabhi bhadon barse
aisa barse mere allah ki chhajon barse
masha-allah ye laDiyan teri ai abr-e-bahaar
ji mein aata hai isi tarh mahinon barse
tir-e-baran hai ye be-waqt ka meinh tauba hai
yun na barse kabhi jab wo mere ghar hon barse
bas KHuda ke liye bas ab na kahunga kuchh bhi
ghanTon bochhaD hui aap to pahron barse
jab jawani ki tarangen hi nahin hain 'sha’ir'
dhup nikle kahin kyon abr kahin kyon barse
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.