Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kabhi sab chhin leta hun kabhi neamat luTata hun

Pallavi Mishra

kabhi sab chhin leta hun kabhi neamat luTata hun

Pallavi Mishra

MORE BYPallavi Mishra

    kabhī sab chhīn letā huuñ kabhī ne.amat luTātā huuñ

    mujhe sab vaqt kahte haiñ maiñ uñglī par nachātā huuñ

    na maiñ ka.abe meñ rahtā huuñ na maiñ kāshī meñ rahtā huuñ

    garebāñ jhāñk kar dekho maiñ tere dil meñ basta huuñ

    akelā chhoḌ kar mujh ko yakāyak chal diye saare

    sahārā jab ḳhudā hai kahegā kaun tanhā huuñ

    garajtī hai ghaTā to kyā hai tūfānī havā to kyā

    jigar meñ hai bahut himmat kisī se maiñ na Dartā huuñ

    bichhaḌ jā.ūñ agar tum se añdherā chhā jā.egā

    ki jis meñ nuur hai pinhā maiñ aisā ik nagīna huuñ

    qasam khā kar mukar jaanā tirī aadat purānī hai

    qasam se jab qasam khā.ūñ maiñ shiddat se nibhātā huuñ

    ye sūraj chāñd yaarī baḌī adbhut pahelī hai

    kaheñ donoñ aapas meñ ki tum aao maiñ jaatā huuñ

    kabhi sab chhin leta hun kabhi neamat luTata hun

    mujhe sab waqt kahte hain main ungli par nachata hun

    na main kabe mein rahta hun na main kashi mein rahta hun

    gareban jhank kar dekho main tere dil mein basta hun

    akela chhoD kar mujh ko yakayak chal diye sare

    sahaara jab KHuda ka hai kahega kaun tanha hun

    garajti hai ghaTa to kya hai tufani hawa to kya

    jigar mein hai bahut himmat kisi se main na Darta hun

    bichhaD jaun agar tum se andhera chha hi jaega

    ki jis mein nur hai pinha main aisa ek nagina hun

    qasam kha kar mukar jaana teri aadat purani hai

    qasam se jab qasam khaun main shiddat se nibhata hun

    ye suraj chand ki yari baDi adbhut paheli hai

    kahen donon hi aapas mein ki tum aao main jata hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now