kabhi sadiyon ko lamha marta hai
kabhī sadiyoñ ko lamha mārtā hai
kabhī dariyā ko qatra mārtā hai
kahīñ par ek ko majme ne maarā
kahīñ majme ko tanhā mārtā hai
maiñ ye fahm-o-farāsat bech to duuñ
mujhe dil kā kaTahrā mārtā hai
havāle jab se tere dil kiyā hai
use terā havāla mārtā hai
tujhe ghar se bhagā saktā huuñ tere
magar bahnoñ kā chehra mārtā hai
mohabbat se mirī tum jaan le lo
mujhe bas sard lahja mārtā hai
adū kāñpe hai merā naam sun kar
mujhe merā masīhā mārtā hai
maiñ jis par farz kī takmīl kar duuñ
vo mere haq pe Daaka mārtā hai
mire mālik tirā banda nahīñ kyā
vo jo mazdūr bachcha mārtā hai
kabhi sadiyon ko lamha marta hai
kabhi dariya ko qatra marta hai
kahin par ek ko majme ne mara
kahin majme ko tanha marta hai
main ye fahm-o-farasat bech to dun
mujhe dil ka kaTahra marta hai
hawale jab se tere dil kiya hai
use tera hawala marta hai
tujhe ghar se bhaga sakta hun tere
magar bahnon ka chehra marta hai
mohabbat se meri tum jaan le lo
mujhe bas sard lahja marta hai
adu kanpe hai mera nam sun kar
mujhe mera masiha marta hai
main jis par farz ki takmil kar dun
wo mere haq pe Daka marta hai
mere malik tera banda nahin kya
wo jo mazdur bachcha marta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.