kabhi sahar se kabhi tirgi se shikwa hai
kabhī sahar se kabhī tīrgī se shikva hai
kabhī ḳhudā se kabhī aadmī se shikva hai
ḳhud apnī zaat se jo āshnā nahīñ us ko
bas ek apne sivā har kisī se shikva hai
majāzī ishq kisī ko sukūñ nahīñ detā
jise bhī dekho use dil-lagī se shikva hai
vafā is ahd-e-jafā meñ hai ik fareb-e-nazar
bisāt-e-vaqt kī jādūgarī se shikva hai
kare jo khul ke adāvat nahīñ hai us se gila
munāfiqat se bharī dostī se shikva hai
sukūn-e-dil to milā hai nashāt-e-zīst nahīñ
qalandaroñ kā yahī āgahī se shikva hai
koī amal nahīñ aisā ḳhudā ko pesh karūñ
'sabā' mujhe mirī is bandagī se shikva hai
kabhi sahar se kabhi tirgi se shikwa hai
kabhi KHuda se kabhi aadmi se shikwa hai
KHud apni zat se jo aashna nahin us ko
bas ek apne siwa har kisi se shikwa hai
majazi ishq kisi ko sukun nahin deta
jise bhi dekho use dil-lagi se shikwa hai
wafa is ahd-e-jafa mein hai ek fareb-e-nazar
bisat-e-waqt ki jadugari se shikwa hai
kare jo khul ke adawat nahin hai us se gila
munafiqat se bhari dosti se shikwa hai
sukun-e-dil to mila hai nashat-e-zist nahin
qalandaron ka yahi aagahi se shikwa hai
koi amal nahin aisa KHuda ko pesh karun
'saba' mujhe meri is bandagi se shikwa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.