kabhi sahra mein rahte hain kabhi pani mein rahte hain
kabhī sahrā meñ rahte haiñ kabhī paanī meñ rahte haiñ
na jaane kaun hai jis kī nigahbānī meñ rahte haiñ
zamīñ se āsmāñ tak apne hone kā tamāshā hai
ye saare silsile ik lamha-e-fānī meñ rahte haiñ
saverā hote hote roz aa jaate haiñ sāhil par
safīne raat bhar dariyā kī tuġhyānī meñ rahte haiñ
patā āñkheñ ko miltā hai yahīñ sab jaane vāloñ kā
sabhī is ā.īna-ḳhāne kī hairānī meñ rahte haiñ
idhar ham haiñ ki har kār-e-jahāñ dushvār hai ham ko
udhar kuchh log har mushkil kī āsānī meñ rahte haiñ
kise ye niilī piilī titliyāñ achchhī nahīñ lagtīñ
'ajab kyā hai jo ham bachchoñ kī nādānī meñ rahte haiñ
yahī be-chehra o be-nām ghar apnā Thikāna hai
ham ik bhūle hue manzar kī vīrānī meñ rahte haiñ
kabhi sahra mein rahte hain kabhi pani mein rahte hain
na jaane kaun hai jis ki nigahbani mein rahte hain
zamin se aasman tak apne hone ka tamasha hai
ye sare silsile ek lamha-e-fani mein rahte hain
sawera hote hote roz aa jate hain sahil par
safine raat bhar dariya ki tughyani mein rahte hain
pata aankhen ko milta hai yahin sab jaane walon ka
sabhi is aaina-KHane ki hairani mein rahte hain
idhar hum hain ki har kar-e-jahan dushwar hai hum ko
udhar kuchh log har mushkil ki aasani mein rahte hain
kise ye nili pili titliyan achchhi nahin lagtin
'ajab kya hai jo hum bachchon ki nadani mein rahte hain
yahi be-chehra o be-nam ghar apna Thikana hai
hum ek bhule hue manzar ki virani mein rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.