kabhi sanjidgi se dekh dil-awez hote hain
kabhī sanjīdgī se dekh dil-āvez hote haiñ
vahī lahje jo ḳhanjar se ziyāda tez hote haiñ
mukammal ḳhatm hotī hī nahīñ nafrat mohabbat se
maraz jaatā davā se hai magar parhez hote haiñ
unhīñ meñ kāmyābī ke anāsir DhūñDhtā huuñ maiñ
vo lamhe zindagī meñ jo shikan-āmez hote haiñ
maiñ dil meñ chaah kar bhī aur kuchh rakh hī nahīñ paatā
is almārī meñ bas yādoñ ke dastāvez hote haiñ
hameñ to zindagī ke zāviyoñ se haT ke jiinā hai
ki jab mausam nahīñ hotā to ham zarḳhez hote haiñ
kabhi sanjidgi se dekh dil-awez hote hain
wahi lahje jo KHanjar se ziyaada tez hote hain
mukammal KHatm hoti hi nahin nafrat mohabbat se
maraz jata dawa se hai magar parhez hote hain
unhin mein kaamyabi ke anasir DhunDhta hun main
wo lamhe zindagi mein jo shikan-amez hote hain
main dil mein chah kar bhi aur kuchh rakh hi nahin pata
is almari mein bas yaadon ke dastawez hote hain
hamein to zindagi ke zawiyon se haT ke jina hai
ki jab mausam nahin hota to hum zarKHez hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.