kabhi sar-ba-sajda hua tha dil kabhi har qadam pe qiyam tha
kabhi sar-ba-sajda hua tha dil kabhi har qadam pe qiyam tha
Hidayatullah
MORE BYHidayatullah
kabhī sar-ba-sajda huā thā dil kabhī har qadam pe qiyām thā
ki vo rāsta tire shahr kā sabhī rāstoñ kā imaam thā
kabhī dard-e-tūl-e-firāq thā kabhī dukh ki vasl hai muḳhtasar
rah-e-ishq meñ to sukūn kā koī ek pal bhī harām thā
jise ḳhud-sarī kā ġhurūr thā jo ḳhud-āgahī kā zuhūr thā
vahī dil gadā-e-rah-e-talab tirī ik nazar kā ġhulām thā
na to ham-safar se umiid thī na hī rāhbar pe yaqīñ thā
tire shahr ke sabhī rāstoñ kā ajiib sā hī nizām thā
isī justujū meñ sadā rahā ki tirī talab ko faroġh ho
mirī ḳhvāhishoñ meñ chhupā huā tirī aarzū kā davām thā
mujhe kun kahā to maiñ ho gayā faya-kun meñ'' hī kamāl thā
maiñ asīr-e-ahd-e-alast huuñ ki balā mirā hī kalām thā
tire naam se jo alag huā to banā 'hidāyat'-e-be-navā
ki azal ke shahr-e-vujūd meñ tirā naam hī mirā naam thā
kabhi sar-ba-sajda hua tha dil kabhi har qadam pe qiyam tha
ki wo rasta tere shahr ka sabhi raston ka imam tha
kabhi dard-e-tul-e-firaq tha kabhi dukh ki wasl hai muKHtasar
rah-e-ishq mein to sukun ka koi ek pal bhi haram tha
jise KHud-sari ka ghurur tha jo KHud-agahi ka zuhur tha
wahi dil gada-e-rah-e-talab teri ek nazar ka ghulam tha
na to ham-safar se umid thi na hi rahbar pe yaqin tha
tere shahr ke sabhi raston ka ajib sa hi nizam tha
isi justuju mein sada raha ki teri talab ko farogh ho
meri KHwahishon mein chhupa hua teri aarzu ka dawam tha
mujhe kun kaha to main ho gaya faya-kun mein hi kamal tha
main asir-e-ahd-e-alast hun ki bala mera hi kalam tha
tere nam se jo alag hua to bana 'hidayat'-e-be-nawa
ki azal ke shahr-e-wujud mein tera nam hi mera nam tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.