kabhi shafaq to kabhi gul kabhi jinan mahke
kabhī shafaq to kabhī gul kabhī jināñ mahke
tumhāre naqsh-e-qadam bhī kahāñ kahāñ mahke
koī amīn-e-sadāqat idhar se guzrā hai
qadam qadam pe jo yuuñ rāh-e-imtihāñ mahke
ye kis ke naam kī ḳhushbū hai mere she'roñ meñ
nafas nafas hai mo'attar mashām-e-jāñ mahke
chaman-badosh vo aa.e mire tasavvur meñ
mire ḳhayāl-o-ma'ānī kā kul-jahāñ mahke
ye kis ne raḳht-e-safar bāñdhne kī Thānī hai
zamīn vajd meñ hai aur āsmāñ mahke
jinhoñ ne rāh-e-sadāqat meñ apnī jāneñ diiñ
paḌho jo dāstāñ un kī to dāstāñ mahke
kabhi shafaq to kabhi gul kabhi jinan mahke
tumhaare naqsh-e-qadam bhi kahan kahan mahke
koi amin-e-sadaqat idhar se guzra hai
qadam qadam pe jo yun rah-e-imtihan mahke
ye kis ke nam ki KHushbu hai mere she'ron mein
nafas nafas hai mo'attar masham-e-jaan mahke
chaman-badosh wo aae mere tasawwur mein
mere KHayal-o-ma'ani ka kul-jahan mahke
ye kis ne raKHt-e-safar bandhne ki Thani hai
zamin wajd mein hai aur aasman mahke
jinhon ne rah-e-sadaqat mein apni jaanen din
paDho jo dastan un ki to dastan mahke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.