kabhi sitare kabhi kahkashan bulata hai
kabhī sitāre kabhī kahkashāñ bulātā hai
hameñ vo bazm meñ apnī kahāñ bulātā hai
na jaane kaun sī uftād aa paḌī hai ki jo
ham ahl-e-'ishq ko kār-e-jahāñ bulātā hai
ye kaisā dām-e-rihā.ī bichhā diyā us ne
zamīñ pakaḌtī hai aur āsmāñ bulātā hai
galī galī meñ 'aqīdoñ bharī dukāneñ haiñ
qadam qadam pe nayā āstāñ bulātā hai
bhaTak ga.e haiñ magar gum nahīñ hue haiñ kahīñ
abhī hameñ jaras-e-kārvāñ bulātā hai
ye aag lagne se pahle kī bāz-gasht hai jo
bujhāne vāloñ ko ab tak dhuāñ bulātā hai
umiid TūTne lagtī hai jab bhī koī 'salīm'
to ik yaqīñ pas-e-vahm-o-gumāñ bulātā hai
kabhi sitare kabhi kahkashan bulata hai
hamein wo bazm mein apni kahan bulata hai
na jaane kaun si uftad aa paDi hai ki jo
hum ahl-e-'ishq ko kar-e-jahan bulata hai
ye kaisa dam-e-rihai bichha diya us ne
zamin pakaDti hai aur aasman bulata hai
gali gali mein 'aqidon bhari dukanen hain
qadam qadam pe naya aastan bulata hai
bhaTak gae hain magar gum nahin hue hain kahin
abhi hamein jaras-e-karwan bulata hai
ye aag lagne se pahle ki baz-gasht hai jo
bujhane walon ko ab tak dhuan bulata hai
umid TuTne lagti hai jab bhi koi 'salim'
to ek yaqin pas-e-wahm-o-guman bulata hai
- Book : duniya aarzoo se kam hai (Pg. 35)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.