kabhi socha hai kuchh achchha bura kya
kabhī sochā hai kuchh achchhā burā kyā
to ab rone kī ḳhātir sochnā kyā
mirī āñkhoñ meñ duniyā bhar ga.ī hai
maiñ hairāñ huuñ tirā jaadū huā kyā
use achchhā lagā kal saath merā
vo tanhā.ī se itnā Dar gayā kyā
ḳhushī chehre se chhalkī paḌ rahī hai
tujhe is ḳhāk-dāñ se kuchh milā kyā
kabhi socha hai kuchh achchha bura kya
to ab rone ki KHatir sochna kya
meri aankhon mein duniya bhar gai hai
main hairan hun tera jadu hua kya
use achchha laga kal sath mera
wo tanhai se itna Dar gaya kya
KHushi chehre se chhalki paD rahi hai
tujhe is KHak-dan se kuchh mila kya
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 76)
- Author : Nomaan Shauque
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.