kabhi socha na tha itni bhi sarshaari kabhi hogi
kabhī sochā na thā itnī bhī sarshārī kabhī hogī
ki terā naam paḌhte hī talabgārī kabhī hogī
kabhī rote hue hañs duuñ kabhī hañste hue ro duuñ
kabhī mahfil sajā.ūñgī azā-dārī kabhī hogī
sitam-ījādo dīvāreñ junūñ atvār hī Thahrīñ
tire mahfil meñ aa jaane pe be-zārī kabhī hogī
bahut mārūf rakkhā thā tire ḳhvāboñ ne dar-parda
sunānā chāheñ hāl-e-dil to dushvārī kabhī hogī
nahīñ ma.alūm thā ġhaul-e-raqībāñ saath chaltā hai
na koī haal pūchhegā na ġham-ḳhvārī kabhī hogī
kabhi socha na tha itni bhi sarshaari kabhi hogi
ki tera nam paDhte hi talabgari kabhi hogi
kabhi rote hue hans dun kabhi hanste hue ro dun
kabhi mahfil sajaungi aza-dari kabhi hogi
sitam-ijado diwaren junun atwar hi Thahrin
tere mahfil mein aa jaane pe be-zari kabhi hogi
bahut maruf rakkha tha tere KHwabon ne dar-parda
sunana chahen haal-e-dil to dushwari kabhi hogi
nahin malum tha ghaul-e-raqiban sath chalta hai
na koi haal puchhega na gham-KHwari kabhi hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.