Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kabhi su-e-dasht nikal paDe kabhi su-e-dar chale gae

Sarfaraz Bazmi

kabhi su-e-dasht nikal paDe kabhi su-e-dar chale gae

Sarfaraz Bazmi

MORE BYSarfaraz Bazmi

    kabhī sū-e-dasht nikal paḌe kabhī sū-e-dār chale ga.e

    tirī chaah meñ na kahāñ kahāñ tire be-qarār chale ga.e

    jo kitāb-e-dil meñ thī pankhuḌī kisī sar-kashīda gulāb

    vo dabī rahī to varaq varaq hue lāla-zār chale ga.e

    unheñ kaam thā tire kaam se tire zikr se tire naam se

    vo jo ābla-pā barahna-pā sar-e-dasht-e-ḳhār chale ga.e

    na vo dhaḌkaneñ na vo uljhaneñ na vo vasvase na vo qahqahe

    tire ahd meñ dil-e-zār ke sabhī iḳhtiyār chale ga.e

    mire pairahan gavāhiyāñ na sunī ga.iiñ na likhī ga.iiñ

    ki zanān-e-misr baat par azīzdār chale ga.e

    na vo rasm-e-jāma-darī rahī na mizāj-e-baḳhiya-garī rahā

    vo junūñ-shi.ār kahāñ rahe vo karam-nisār chale ga.e

    jo na dair meñ na haram meñ the jo asiir halqa-e-ġham meñ the

    vo navā-e-dard pe naġhma-ḳhvāñ tire shab-guzār chale ga.e

    maiñ sukūt-e-dāman-e-dasht se jahāñ guftugū meñ magan rahā

    vahāñ jhiil thak ke rukī rahī magar ābshār chale ga.e

    tirā dard 'bazmī'-e-nā-tavāñ na idhar sunā na udhar sunā

    ki dayār-e-nik.hat-o-nūr se tire ġham-gusār chale ga.e

    kabhi su-e-dasht nikal paDe kabhi su-e-dar chale gae

    teri chah mein na kahan kahan tere be-qarar chale gae

    jo kitab-e-dil mein thi pankhuDi kisi sar-kashida gulab ki

    wo dabi rahi to waraq waraq hue lala-zar chale gae

    unhen kaam tha tere kaam se tere zikr se tere nam se

    wo jo aabla-pa barahna-pa sar-e-dasht-e-KHar chale gae

    na wo dhaDkanen na wo uljhanen na wo waswase na wo qahqahe

    tere ahd mein dil-e-zar ke sabhi iKHtiyar chale gae

    mere pairahan ki gawahiyan na suni gain na likhi gain

    ki zanan-e-misr ki baat par hi azizdar chale gae

    na wo rasm-e-jama-dari rahi na mizaj-e-baKHiya-gari raha

    wo junun-shiar kahan rahe wo karam-nisar chale gae

    jo na dair mein na haram mein the jo asir halqa-e-gham mein the

    wo nawa-e-dard pe naghma-KHwan tere shab-guzar chale gae

    main sukut-e-daman-e-dasht se jahan guftugu mein magan raha

    wahan jhil thak ke ruki rahi magar aabshaar chale gae

    tera dard 'bazmi'-e-na-tawan na idhar suna na udhar suna

    ki dayar-e-nikhat-o-nur se tere gham-gusar chale gae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now