kabhi sujhi na tark-e-KHud-numai ki sitaron ko
kabhī sūjhī na tark-e-ḳhud-numā.ī kī sitāroñ ko
ḳhudā ne ye sa.ādat baḳhsh dī ham ḳhāksāroñ ko
baḌoñ kī dostī se faiz kyā hai ḳhāksāroñ ko
miTā detā hai dariyā josh-e-tūfāñ meñ kināroñ ko
ḳhudā ke fazl se mahshar meñ bhī vo surḳh-rū hoñge
janāb-e-shaiḳh kyā samjhe hue haiñ bāda-ḳhvāroñ ko
kisī ko ishq ke uqde kā hal ab tak nahīñ sūjhā
ye vo mushkil hai duniyā meñ jo pesh aa.ī hazāroñ ko
vahī nisbat hai ḳhūbān-e-jahāñ ko husn se tere
falak par jo mah-e-kāmil se hotī hai sitāroñ ko
hai is afsurdagī par bhī tabī.at meñ vo rañgīnī
mirī fasl-e-ḳhizāñ par rashk aatā hai bahāroñ ko
kisī ke ḳhair-maqdam se kabhī ġhāfil nahīñ hote
qadam lenā sikhāyā maiñ ne har sahrā ke ḳhāroñ ko
maqām apnā bhī 'sāhir' imtiyāzī shaan rakhtā hai
hamārī puḳhta-goī kī ḳhabar kyā ḳhām-kāroñ ko
kabhi sujhi na tark-e-KHud-numai ki sitaron ko
KHuda ne ye saadat baKHsh di hum KHaksaron ko
baDon ki dosti se faiz kya hai KHaksaron ko
miTa deta hai dariya josh-e-tufan mein kinaron ko
KHuda ke fazl se mahshar mein bhi wo surKH-ru honge
janab-e-shaiKH kya samjhe hue hain baada-KHwaron ko
kisi ko ishq ke uqde ka hal ab tak nahin sujha
ye wo mushkil hai duniya mein jo pesh aai hazaron ko
wahi nisbat hai KHuban-e-jahan ko husn se tere
falak par jo mah-e-kaamil se hoti hai sitaron ko
hai is afsurdagi par bhi tabiat mein wo rangini
meri fasl-e-KHizan par rashk aata hai bahaaron ko
kisi ke KHair-maqdam se kabhi ghafil nahin hote
qadam lena sikhaya main ne har sahra ke KHaron ko
maqam apna bhi 'sahir' imtiyazi shan rakhta hai
hamari puKHta-goi ki KHabar kya KHam-karon ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.