kabhi surat nahin milti kabhi sirat nahin milti
kabhi surat nahin milti kabhi sirat nahin milti
Aazim Gurvinder Singh Kohli
MORE BYAazim Gurvinder Singh Kohli
kabhī sūrat nahīñ miltī kabhī sīrat nahīñ miltī
yahāñ insān se insān kī fitrat nahīñ miltī
nasība ne hī baḳhshā hai har ik ko us ke hisse kā
yahāñ ik baap ke beToñ kī bhī qismat nahīñ miltī
karam maulā kare to aadmī be-laus hotā hai
na ho us kī agar rahmat to ye tāqat nahīñ miltī
vo duniyā meñ bhī rahte haiñ to ho kar ḳhud se begāne
jinheñ apne gunāhoñ se kabhī fursat nahīñ miltī
asar ik sā hai ham donoñ pe vaa.iz us muī mai kā
vagarna terī merī ik bhī to aadat nahīñ miltī
kahāñ aadam nikaltā ḳhuld se itnā to socho tum
agar havvā kī jānib se use dāvat nahīñ miltī
jo tere dar pe ai maulā na 'āzim' yuuñ duā kartā
use jannat nahīñ miltī tujhe shohrat nahīñ miltī
kabhi surat nahin milti kabhi sirat nahin milti
yahan insan se insan ki fitrat nahin milti
nasiba ne hi baKHsha hai har ek ko us ke hisse ka
yahan ek bap ke beTon ki bhi qismat nahin milti
karam maula kare to aadmi be-laus hota hai
na ho us ki agar rahmat to ye taqat nahin milti
wo duniya mein bhi rahte hain to ho kar KHud se begane
jinhen apne gunahon se kabhi fursat nahin milti
asar ek sa hai hum donon pe waiz us mui mai ka
wagarna teri meri ek bhi to aadat nahin milti
kahan aadam nikalta KHuld se itna to socho tum
agar hawwa ki jaanib se use dawat nahin milti
jo tere dar pe ai maula na 'azim' yun dua karta
use jannat nahin milti tujhe shohrat nahin milti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.