kabhi tamir hoti hun kabhi mismar hoti hun
kabhī ta.amīr hotī huuñ kabhī mismār hotī huuñ
kabhī āsān lagtī huuñ kabhī dushvār hotī huuñ
mire har ruup meñ hī dilkashī qudrat ne rakhī hai
kabhī ḳhushbū ke haale meñ gul-e-gulzār hotī huuñ
kabhī mahfil meñ roz-o-shab hue haiñ tazkire mere
kabhī ban kar ḳhabar maiñ zīnat-e-aḳhbār hotī huuñ
kabhī mere ishāroñ par badal jaatī haiñ tadbīreñ
kabhī tāqat ke aivānoñ kā ik hathiyār hotī huuñ
mirī to umr guzrī hai yūñhī girdāb se laḌte
kabhī kashtī bachāne ke liye patvār hotī huuñ
kabhī maiñ apnī sochoñ meñ magan rahtī huuñ roz-o-shab
kabhī maiñ apne dilbar ke liye ġham-ḳhvār hotī huuñ
'iram' sun kar jise is zindagī par pyaar aatā hai
usī āvāz par maiñ roz hī bedār hotī huuñ
kabhi tamir hoti hun kabhi mismar hoti hun
kabhi aasan lagti hun kabhi dushwar hoti hun
mere har rup mein hi dilkashi qudrat ne rakhi hai
kabhi KHushbu ke haale mein gul-e-gulzar hoti hun
kabhi mahfil mein roz-o-shab hue hain tazkire mere
kabhi ban kar KHabar main zinat-e-aKHbar hoti hun
kabhi mere ishaaron par badal jati hain tadbiren
kabhi taqat ke aiwanon ka ek hathiyar hoti hun
meri to umr guzri hai yunhi girdab se laDte
kabhi kashti bachane ke liye patwar hoti hun
kabhi main apni sochon mein magan rahti hun roz-o-shab
kabhi main apne dilbar ke liye gham-KHwar hoti hun
'iram' sun kar jise is zindagi par pyar aata hai
usi aawaz par main roz hi bedar hoti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.