kabhi tartib deta hai kabhi mismar karta hai
kabhī tartīb detā hai kabhī mismār kartā hai
vo apnī bebasī kā is tarah iz.hār kartā hai
gumān-o-be-yaqīnī kab kise takmīl karte haiñ
jise ummīd hotī hai vahī isrār kartā hai
kisī ik faisle ke muntazir haiñ log muddat se
use kāfir kaheñge sab agar inkār kartā hai
paḌāv kar chukā hai kārvāñ aise ilāqe meñ
jahāñ na Thaharne pe kul jahāñ isrār kartā hai
kabhī to rāste ḳhud manziloñ se duur karte haiñ
kahīñ par ḳhud junūñ bhī rāsta hamvār kartā hai
mujhe mere irāde TūTne se rokte haiñ 'nāz'
magar hālāt kahte haiñ safar be-kār kartā hai
kabhi tartib deta hai kabhi mismar karta hai
wo apni bebasi ka is tarah izhaar karta hai
guman-o-be-yaqini kab kise takmil karte hain
jise ummid hoti hai wahi israr karta hai
kisi ek faisle ke muntazir hain log muddat se
use kafir kahenge sab agar inkar karta hai
paDaw kar chuka hai karwan aise ilaqe mein
jahan na Thaharne pe kul jahan israr karta hai
kabhi to raste KHud manzilon se dur karte hain
kahin par KHud junun bhi rasta hamwar karta hai
mujhe mere irade TuTne se rokte hain 'naz'
magar haalat kahte hain safar be-kar karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.