kabhi tere KHat ko jala diya kabhi nam likh ke miTa diya
kabhī tere ḳhat ko jalā diyā kabhī naam likh ke miTā diyā
ye mirī anā kā savāl thā tujhe yaad kar ke bhulā diyā
nayā aarzū kā mizāj hai na.e daur kī haiñ rifāqateñ
tirī qurbatoñ kā jo zaḳhm thā tirī dūriyoñ ne miTā diyā
mujhe hai ḳhabar tujhe ishq thā faqat apne aks-e-jamāl se
ki maiñ gum huuñ tere vajūd meñ mujhe ā.īna sā banā diyā
maiñ hisār meñ tū hisār meñ isī silsile ko davām hai
kabhī maslahat ne judā kiyā to kabhī ġharaz ne milā diyā
sabhī kah rahe haiñ ye barmalā jo guzar gayā vahī ḳhuub thā
abhī ek pal jo hai aasrā use sab ne yūñhī gañvā diyā
vo sharar ho yā ki charāġh ho hai tapish mizāj meñ ai 'hijāb'
kabhī har nafas ko jalā diyā kabhī raushnī ko baḌhā diyā
kabhi tere KHat ko jala diya kabhi nam likh ke miTa diya
ye meri ana ka sawal tha tujhe yaad kar ke bhula diya
naya aarzu ka mizaj hai nae daur ki hain rifaqaten
teri qurbaton ka jo zaKHm tha teri duriyon ne miTa diya
mujhe hai KHabar tujhe ishq tha faqat apne aks-e-jamal se
ki main gum hun tere wajud mein mujhe aaina sa bana diya
main hisar mein tu hisar mein isi silsile ko dawam hai
kabhi maslahat ne juda kiya to kabhi gharaz ne mila diya
sabhi kah rahe hain ye barmala jo guzar gaya wahi KHub tha
abhi ek pal jo hai aasra use sab ne yunhi ganwa diya
wo sharar ho ya ki charagh ho hai tapish mizaj mein ai 'hijab'
kabhi har nafas ko jala diya kabhi raushni ko baDha diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.