kabhi tha ‘naqwi’-e-bekas bhi ek gulistan sa
kabhi tha ‘naqwi’-e-bekas bhi ek gulistan sa
Naqvii Mustafa Aabadi
MORE BYNaqvii Mustafa Aabadi
kabhī thā ‘naqvī’-e-bekas bhī ik gulistāñ sā
magar jo dekhiye ab to huā bayābāñ sā
junūn-e-ishq hai pariyāñ uḌaa.e phirtī haiñ
dayār-e-shauq meñ āshiq bhī hai sulaimāñ sā
tumhārī tez nazar se khile diloñ ke chaman
tamām ālam-e-imkāñ huā namak-dāñ sā
qafas kā dar jo khulā bāzuoñ meñ zor nahīñ
qafas-nasīboñ pe chhāyā hai ab bhī zindāñ sā
bahār vo hai kalī dil kī jis se ho ḳhandāñ
huā kare jo ye aalam hai ik bahārāñ sā
tumheñ ḳhabar hai ki dil par kisī ke kyā guzrī
ba-rang-e-ā.ina sākit hai aur hairāñ sā
jo dekhe daaġh mire dil ke rah ga.e shashdar
samajh rahe the ki bas hogā ik charāġhāñ sā
ḳhabar uḌī ki vo guzreñge mere kūche se
tamām raah kā aalam thā nargisistāñ sā
kabhi tha ‘naqwi’-e-bekas bhi ek gulistan sa
magar jo dekhiye ab to hua bayaban sa
junun-e-ishq hai pariyan uDae phirti hain
dayar-e-shauq mein aashiq bhi hai sulaiman sa
tumhaari tez nazar se khile dilon ke chaman
tamam aalam-e-imkan hua namak-dan sa
qafas ka dar jo khula bazuon mein zor nahin
qafas-nasibon pe chhaya hai ab bhi zindan sa
bahaar wo hai kali dil ki jis se ho KHandan
hua kare jo ye aalam hai ek bahaaran sa
tumhein KHabar hai ki dil par kisi ke kya guzri
ba-rang-e-aina sakit hai aur hairan sa
jo dekhe dagh mere dil ke rah gae shashdar
samajh rahe the ki bas hoga ek charaghan sa
KHabar uDi ki wo guzrenge mere kuche se
tamam rah ka aalam tha nargisistan sa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.