kabhi to aao meri chashm-e-tar mein sham Dhale
kabhī to aao mirī chashm-e-tar meñ shaam Dhale
ki koī aatā nahīñ is nagar meñ shaam Dhale
maiñ apne chehre pe ḳhushiyāñ sajā.e phirtā huuñ
charāġh jalte haiñ ashkoñ ke ghar meñ shaam Dhale
maiñ ban ke chāñd use rāsta dikhātā rahūñ
kabhī to mujh ko mile vo safar meñ shaam Dhale
na aa.ī raas hameñ aap kī masīhā.ī
ki dard uThtā hai ab bhī jigar meñ shaam Dhale
ye ek aur shikāyat bhī tujh se karnī thī
ki chāñd aatā nahīñ mere ghar meñ shaam Dhale
'ḳhalīl' vahm hai merā yā bad-havāsī hai
yahāñ pe sub.h chale aur nazar meñ shaam Dhale
kabhi to aao meri chashm-e-tar mein sham Dhale
ki koi aata nahin is nagar mein sham Dhale
main apne chehre pe KHushiyan sajae phirta hun
charagh jalte hain ashkon ke ghar mein sham Dhale
main ban ke chand use rasta dikhata rahun
kabhi to mujh ko mile wo safar mein sham Dhale
na aai ras hamein aap ki masihai
ki dard uThta hai ab bhi jigar mein sham Dhale
ye ek aur shikayat bhi tujh se karni thi
ki chand aata nahin mere ghar mein sham Dhale
'KHalil' wahm hai mera ya bad-hawasi hai
yahan pe subh chale aur nazar mein sham Dhale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.