kabhi to bais-e-pindar de do
kabhī to bā.is-e-pindār de do
mujhe ik mauqa-e-dīdār de do
havā ko kāTnā maiñ chāhtā huuñ
mire hāthoñ meñ ik talvār de do
suḳhan zar zabān aate raheñge
mujhe har gosh bhī be-zār de do
ziyāda maan ke ġhalatī karūñgā
kabhī thoḌā sā mujh ko pyaar de do
ye ḳhāmoshī bahut khultī hai yaaro
nahīñ haiñ gul to mujh ko ḳhaar de do
mujhe naqshe samajh aate nahīñ haiñ
mujhe tasvīr-e-kū-e-yār de do
mujhe naqshe samajh aate nahīñ haiñ
mujhe tasvīr-e-kū-e-yār de do
bahal jā.egā kuchh pal ko mirā dil
koī jhūTā sā ik dildār de do
kisī se dil lagānā hai mujhe bas
kahānī kā hī ik kirdār de do
baḌā vīrāna hai dil terā 'vatsal'
makāñ ko is kirāya-dār de do
kabhi to bais-e-pindar de do
mujhe ek mauqa-e-didar de do
hawa ko kaTna main chahta hun
mere hathon mein ek talwar de do
suKHan zar zaban aate rahenge
mujhe har gosh bhi be-zar de do
ziyaada man ke ghalati karunga
kabhi thoDa sa mujh ko pyar de do
ye KHamoshi bahut khulti hai yaro
nahin hain gul to mujh ko KHar de do
mujhe naqshe samajh aate nahin hain
mujhe taswir-e-ku-e-yar de do
mujhe naqshe samajh aate nahin hain
mujhe taswir-e-ku-e-yar de do
bahal jaega kuchh pal ko mera dil
koi jhuTa sa ek dildar de do
kisi se dil lagana hai mujhe bas
kahani ka hi ek kirdar de do
baDa virana hai dil tera 'watsal'
makan ko is kiraya-dar de do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.