kabhi to dast-e-hama-gir mein subu ho jae
kabhī to dast-e-hama-gīr meñ subū ho jaa.e
ye ḳhaak bhī kabhī āsūda-e-numū ho jaa.e
bayāz-e-dil pe tirā naqsh āshkārā ho
phir is ke baa'd tirī diid kū-ba-kū ho jaa.e
nahīñ ki rang-e-hinā mere haath par na khilā
hatheliyoñ ko ye zid thī ki dil lahū ho jaa.e
vo aur haiñ ki jo sāmān-e-zīst māñgte haiñ
pe is qadar ho ki sāmān-e-ābrū ho jaa.e
ye izn roz-e-azal ishq ko diyā na gayā
ki mubtalā-e-havas koī aarzū ho jaa.e
vo fitna-gar ki kabhī kheñch le badan se lahū
kabhī vo chashm-e-siyahkār aabjū ho jaa.e
bahāl ho jo takallum kā silsila to 'abīr'
tire nasīb pe shāyad ki guftugū ho jaa.e
kabhi to dast-e-hama-gir mein subu ho jae
ye KHak bhi kabhi aasuda-e-numu ho jae
bayaz-e-dil pe tera naqsh aashkara ho
phir is ke ba'd teri did ku-ba-ku ho jae
nahin ki rang-e-hina mere hath par na khila
hatheliyon ko ye zid thi ki dil lahu ho jae
wo aur hain ki jo saman-e-zist mangte hain
pe is qadar ho ki saman-e-abru ho jae
ye izn roz-e-azal ishq ko diya na gaya
ki mubtala-e-hawas koi aarzu ho jae
wo fitna-gar ki kabhi khench le badan se lahu
kabhi wo chashm-e-siyahkar aabju ho jae
bahaal ho jo takallum ka silsila to 'abir'
tere nasib pe shayad ki guftugu ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.