Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kabhi to dosto apne watan ki baat karen

Jafar Raza

kabhi to dosto apne watan ki baat karen

Jafar Raza

MORE BYJafar Raza

    kabhī to dosto apne vatan baat kareñ

    kabhī to chāk-e-dil-o-pairahan baat kareñ

    ḳhirad bazm meñ dīvāne-pan baat kareñ

    hikāyatoñ meñ kisī sīm-tan baat kareñ

    guloñ ke sāmne kyā fikr-o-fan baat kareñ

    ye saada log haiñ un se chaman baat kareñ

    ḳhayāl-e-yār salāmat hazār bazm-e-tarab

    ġhazal ke naam pe gul-pairahan baat kareñ

    mashām-e-jāñ meñ vo gesū mahakte jaate haiñ

    kisī ḳhutan na mushk-e-ḳhutan baat kareñ

    nigāh-e-fitna hai ek ik adā qayāmat hai

    vo laakh ban ke baḌe bholpan baat kareñ

    bhalī baat azīzoñ pe baar hotī hai

    dayār-e-ġhair meñ kaise vatan baat kareñ

    shanāsā chehre yahāñ ajnabī se lagte haiñ

    hoñ ahl-e-zauq to ahl-e-suḳhan baat kareñ

    jahāñ pe qatl ho urdu zabāñ nafāsat se

    chalo kuchh aaj usī anjuman baat kareñ

    kabhi to dosto apne watan ki baat karen

    kabhi to chaak-e-dil-o-pairahan ki baat karen

    KHirad ki bazm mein diwane-pan ki baat karen

    hikayaton mein kisi sim-tan ki baat karen

    gulon ke samne kya fikr-o-fan ki baat karen

    ye sada log hain un se chaman ki baat karen

    KHayal-e-yar salamat hazar bazm-e-tarab

    ghazal ke nam pe gul-pairahan ki baat karen

    masham-e-jaan mein wo gesu mahakte jate hain

    kisi KHutan ki na mushk-e-KHutan ki baat karen

    nigah-e-fitna hai ek ek ada qayamat hai

    wo lakh ban ke baDe bholpan ki baat karen

    bhali si baat azizon pe bar hoti hai

    dayar-e-ghair mein kaise watan ki baat karen

    shanasa chehre yahan ajnabi se lagte hain

    hon ahl-e-zauq to ahl-e-suKHan ki baat karen

    jahan pe qatl ho urdu zaban nafasat se

    chalo kuchh aaj usi anjuman ki baat karen

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now