kabhi to Dub chale hum kabhi ubharte hue
kabhī to Duub chale ham kabhī ubharte hue
ḳhud apnī zaat ke dariyā ko paar karte hue
yahīñ se raah koī āsmāñ ko jaatī thī
ḳhayāl aayā hameñ sīḌhiyāñ utarte hue
agar vo ḳhvāb hai jo aañkh meñ salāmat hai
to phir ye kyā hai jise dekhtā huuñ marte hue
simaT ke ḳhud meñ mirā ḳhair kyā banā hotā
havā ke dosh pe thā duur tak bikharte hue
na.e safar kī kahīñ ibtidā na ho manzil
ye paañv pūchh rahe haiñ thakan se Darte hue
abhī to duur talak āsmān suunā thā
kahāñ se aa ga.e panchhī uḌaan bharte hue
kabhi to Dub chale hum kabhi ubharte hue
KHud apni zat ke dariya ko par karte hue
yahin se rah koi aasman ko jati thi
KHayal aaya hamein siDhiyan utarte hue
agar wo KHwab hai jo aankh mein salamat hai
to phir ye kya hai jise dekhta hun marte hue
simaT ke KHud mein mera KHair kya bana hota
hawa ke dosh pe tha dur tak bikharte hue
nae safar ki kahin ibtida na ho manzil
ye panw puchh rahe hain thakan se Darte hue
abhi to dur talak aasman suna tha
kahan se aa gae panchhi uDan bharte hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.