kabhi to haq ki koi baat barmala kahiye
kabhī to haq kī koī baat barmalā kahiye
burā bure ko bhale ko sadā bhalā kahiye
havā kā dekhiye ruḳh kaun kitnā badlā hai
qusūr kis kā hai merā ki aap kā kahiye
bayāñ kā farq hai varna vahī hai kaifiyyat
bujhā bujhā na sahī dil jalā jalā kahiye
tumhāre ba.ad na kī koī aarzū maiñ ne
agar ho dekhā kabhī dil kā dar khulā kahiye
koī kamī sī jo har moḌ par huī mahsūs
jise na pur koī kar paayā vo ḳhalā kahiye
hayāt-o-maut ke asrār kaun samjhā hai
use azal se abad tak kā silsila kahiye
hai lā-ilāj ye āzād ishq ai 'farzī'
ilaaj is kā kisī se bhī kab huā kahiye
kabhi to haq ki koi baat barmala kahiye
bura bure ko bhale ko sada bhala kahiye
hawa ka dekhiye ruKH kaun kitna badla hai
qusur kis ka hai mera ki aap ka kahiye
bayan ka farq hai warna wahi hai kaifiyyat
bujha bujha na sahi dil jala jala kahiye
tumhaare baad na ki koi aarzu main ne
agar ho dekha kabhi dil ka dar khula kahiye
koi kami si jo har moD par hui mahsus
jise na pur koi kar paya wo KHala kahiye
hayat-o-maut ke asrar kaun samjha hai
use azal se abad tak ka silsila kahiye
hai la-ilaj ye aazad ishq ai 'farzi'
ilaj is ka kisi se bhi kab hua kahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.