kabhi to harf-e-dua yun zaban talak aae
kabhī to harf-e-duā yuuñ zabāñ talak aa.e
utar ke jis kī pazīrā.ī ko falak aa.e
kam-az-kam itne to ā.īna-dār hoñ chehre
ki dil ke haal kī chehre pe bhī jhalak aa.e
to phir ye kaun sā rishta hai gar na uns kahūñ
jo ashk mere tirī aañkh se chhalak aa.e
sajā sajā ke jo rakkhe the sadiyoñ sadiyoñ ne
vo ḳhvāb ḳhvāb manāzir palak palak aa.e
'naqīb' yuuñ tire lahje meñ be-hijāb ho fan
ġhazal ke dosh se āñchal zarā Dhalak aa.e
kabhi to harf-e-dua yun zaban talak aae
utar ke jis ki pazirai ko falak aae
kam-az-kam itne to aaina-dar hon chehre
ki dil ke haal ki chehre pe bhi jhalak aae
to phir ye kaun sa rishta hai gar na uns kahun
jo ashk mere teri aankh se chhalak aae
saja saja ke jo rakkhe the sadiyon sadiyon ne
wo KHwab KHwab manazir palak palak aae
'naqib' yun tere lahje mein be-hijab ho fan
ghazal ke dosh se aanchal zara Dhalak aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.