kabhi to ishq mein aisi ghaDi bhi aati hai
kabhī to ishq meñ aisī ghaḌī bhī aatī hai
sukūn miltā hai ġham se ḳhushī rulātī hai
ye kis maqām se āḳhir tujhe pukārtā huuñ
mirī sadā mirī jānib hī lauT aatī hai
junūñ ho aql-o-ḳhirad se hazār begāna
tirī kashish to divāne ko khīñch laatī hai
maiñ shahr chhoḌ ke sahrā meñ jā rahā huuñ suno
kahāñ kī miTTī hai mujh ko kahāñ bulātī hai
ai zindagī tujhe rahnā hai mere saath to phir
nigāheñ chaar kar āñkhoñ ko kyoñ churātī hai
tumhāre husn kī ma.asūmiyat are tauba
ḳhudā kī shaan hai jo āqibat bachātī hai
shahīd-e-nāz ne ḳhūn-e-jigar se ġhusl kiyā
magar gulāb kī ḳhushbū kafan se aatī he
kabhi to ishq mein aisi ghaDi bhi aati hai
sukun milta hai gham se KHushi rulati hai
ye kis maqam se aaKHir tujhe pukarta hun
meri sada meri jaanib hi lauT aati hai
junun ho aql-o-KHirad se hazar begana
teri kashish to diwane ko khinch lati hai
main shahr chhoD ke sahra mein ja raha hun suno
kahan ki miTTi hai mujh ko kahan bulati hai
ai zindagi tujhe rahna hai mere sath to phir
nigahen chaar kar aankhon ko kyon churaati hai
tumhaare husn ki masumiyat are tauba
KHuda ki shan hai jo aaqibat bachati hai
shahid-e-naz ne KHun-e-jigar se ghusl kiya
magar gulab ki KHushbu kafan se aati he
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.