kabhi to ishq mein un ke sadaqat aa hi jaegi
kabhi to ishq mein un ke sadaqat aa hi jaegi
Sayyad Ejaz Ahmad Rizwi
MORE BYSayyad Ejaz Ahmad Rizwi
kabhī to ishq meñ un ke sadāqat aa hī jā.egī
kabhī to un ke dil meñ merī chāhat aa hī jā.egī
abhī to mere armāñ ḳhuun ke aañsū bahāte haiñ
kabhī to dil ke un zaḳhmoñ ko rāhat aa hī jā.egī
mire gulshan kā har ik phuul murjhāyā huā sā hai
kabhī kaliyoñ ke lab par muskurāhaT aa hī jā.egī
ye Dar hai be-ruḳhī kā vo gila shikva na kar baiTheñ
kisī din un ke hoñToñ par shikāyat aa hī jā.egī
abhī vo āzmāte haiñ unheñ kuchh na kaho 'rizvī'
kisī din un kī chāhat meñ qayāmat aa hī jā.egī
kabhi to ishq mein un ke sadaqat aa hi jaegi
kabhi to un ke dil mein meri chahat aa hi jaegi
abhi to mere arman KHun ke aansu bahate hain
kabhi to dil ke un zaKHmon ko rahat aa hi jaegi
mere gulshan ka har ek phul murjhaya hua sa hai
kabhi kaliyon ke lab par muskurahaT aa hi jaegi
ye Dar hai be-ruKHi ka wo gila shikwa na kar baiThen
kisi din un ke honTon par shikayat aa hi jaegi
abhi wo aazmate hain unhen kuchh na kaho 'rizwi'
kisi din un ki chahat mein qayamat aa hi jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.